shikva-e-gardish-e-hālāt  liye  phirtā  hai
jis  ko  dekho  vo  yahī  baat  liye  phirtā  hai
us  ne  paikar  meñ  na  Dhalne  kī  qasam  khaa.ī  hai
aur  mujhe  shauq-e-mulāqāt  liye  phirtā  hai
shāḳhcha  TuuT  chukā  kab  kā  shajar  se  lekin
ab  bhī  kuchh  sūkhe  hue  paat  liye  phirtā  hai
sochiye  jism  hai  ab  ruuh  se  kaise  rūThe
apne  saa.e  ko  bhī  jo  saat  liye  phirtā  hai
āsmāñ  apne  irādoñ  meñ  magan  hai  lekin
aadmī  apne  ḳhayālāt  liye  phirtā  hai
partav-e-mahr  se  hai  chāñd  kī  jhilmil  'anvar'
apne  kaase  meñ  ye  ḳhairāt  liye  phirtā  hai