maiñ  jurm-e-ḳhamoshī  kī  safā.ī  nahīñ  detā
zālim  use  kahiye  jo  duhā.ī  nahīñ  detā
kahtā  hai  ki  āvāz  yahīñ  chhoḌ  ke  jaao
maiñ  varna  tumheñ  izn-e-rihā.ī  nahīñ  detā
charke  bhī  lage  jaate  haiñ  dīvār-e-badan  par
aur  dast-e-sitam-gar  bhī  dikhā.ī  nahīñ  detā
āñkheñ  bhī  haiñ  rastā  bhī  charāġhoñ  kī  ziyā  bhī
sab  kuchh  hai  magar  kuchh  bhī  sujhā.ī  nahīñ  detā
ab  apnī  zamīñ  chāñd  ke  mānind  hai  'anvar'
boleñ  to  kisī  ko  bhī  sunā.ī  nahīñ  detā