dard  baḌhtā  hī  rahe  aisī  davā  de  jaao
kuchh  na  kuchh  merī  vafāoñ  kā  salā  de  jaao
yuuñ  na  jaao  ki  maiñ  ro  bhī  na  sakūñ  furqat  meñ
merī  rātoñ  ko  sitāroñ  kī  ziyā  de  jaao
ek  baar  aao  kabhī  itne  achānak-pan  se
nā-umīdī  ko  tahayyur  kī  sazā  de  jaao
dushmanī  kā  koī  pairāya-e-nādir  DhūñDo
jab  bhī  aao  mujhe  jiine  kī  duā  de  jaao
vahī  iḳhlās-o-muravvat  kī  purānī  tohmat
dosto  koī  to  ilzām  nayā  de  jaao
koī  sahrā  bhī  agar  raah  meñ  aa.e  'anvar'
dil  ye  kahtā  hai  ki  ik  baar  sadā  de  jaao