ishāratoñ  kī  vo  sharheñ  vo  tajziya  bhī  gayā
jo  gird-e-matn  banā  thā  vo  hāshiya  bhī  gayā
vo  dil-rubā  se  jo  sapne  the  le  uḌiiñ  nīndeñ
dhanak-nagar  se  vo  dhundlā  sā  rābta  bhī  gayā
ajiib  lutf  thā  nādāniyoñ  ke  aalam  meñ
samajh  meñ  aa.iiñ  to  bātoñ  kā  vo  maza  bhī  gayā
hameñ  bhī  banñe  sañvarne  kā  dhyān  rahtā  thā
vo  ek  shaḳhs  ki  thā  ek  ā.īna  bhii,  gayā
baḌā  sukūn  milā  aaj  us  ke  milne  se
chalo  ye  dil  se  tavaqqo.a  kā  vasvasa  bhī  gayā
guloñ  ko  dekh  ke  ab  raakh  yaad  aatī  hai
ḳhayāl  kā  vo  suhānā  talāzima  bhī  gayā
musāfirat  pe  maiñ  teshe  ke  sañg  niklā  thā
jidhar  gayā  huuñ  mire  saath  rāsta  bhī  gayā
hameñ  to  ek  nazar  nashr  kar  ga.ī  'anvar'
hamāre  haath  se  dil  kā  musavvada  bhī  gayā