jis  tarah  kī  haiñ  ye  dīvāreñ  ye  dar  jaisā  bhī  hai
sar  chhupāne  ko  mayassar  to  hai  ghar  jaisā  bhī  hai
us  ko  mujh  se  mujh  ko  us  se  nisbateñ  haiñ  be-shumār
merī  chāhat  kā  hai  mehvar  ye  nagar  jaisā  bhī  hai
chal  paḌā  huuñ  shauq-e-be-parvā  ko  murshid  maan  kar
rāsta  pur-pech  hai  yā  pur-ḳhatar  jaisā  bhī  hai
sab  gavārā  hai  thakan  saarī  dukhan  saarī  chubhan
ek  ḳhushbū  ke  liye  hai  ye  safar  jaisā  bhī  hai
vo  to  hai  maḳhsūs  ik  terī  mohabbat  ke  liye
terā  'anvar'  bā-hunar  yā  be-hunar  jaisā  bhī  hai