use  to  pās-e-ḳhulūs-e-vafā  zarā  bhī  nahīñ
magar  ye  aas  kā  rishta  ki  TūTtā  bhī  nahīñ
ghire  hue  haiñ  ḳhamoshī  kī  barf  meñ  kab  se
kisī  ke  paas  koī  tesha-e-sadā  bhī  nahīñ
ma.āl-e-ġhunch-o-gul  hai  mirī  nigāhoñ  meñ
mujhe  tabassum-e-kāzib  kā  hausla  bhī  nahīñ
tulū-e-sub.h-e-azal  se  maiñ  DhūñDhtā  thā  jise
milā  to  hai  pa  mirī  samt  dekhtā  bhī  nahīñ
mirī  sadā  se  bhī  raftār  tez  thī  us  kī
mujhe  gila  bhī  nahīñ  hai  jo  vo  rukā  bhī  nahīñ
bikhar  ga.ī  hai  nigāhoñ  kī  raushnī  varna
nazar  na  aa.e  vo  itnā  to  fāsla  bhī  nahīñ
sunā  hai  aaj  kā  mauzū-e-majlis-e-tanqīd
vo  sher  hai  ki  abhī  maiñ  ne  jo  kahā  bhī  nahīñ
simaT  rahe  haiñ  sitāroñ  ke  fāsle  'anvar'
paḌosiyoñ  ko  magar  koī  jāntā  bhī  nahīñ