maiñ  dekh  bhī  na  sakā  mere  gird  kyā  gayā  thā
ki  jis  maqām  pe  maiñ  thā  vahāñ  ujālā  thā
durust  hai  ki  vo  jañgal  kī  aag  thī  lekin
vahīñ  qarīb  hī  dariyā  bhī  ik  guzartā  thā
tum  aa  ga.e  to  chamakne  lagī  haiñ  dīvāreñ
abhī  abhī  to  yahāñ  par  baḌā  añdherā  thā
laboñ  pe  ḳhair  tabassum  bikhar  bikhar  hī  gayā
ye  aur  baat  ki  hañsne  ko  dil  tarastā  thā
sunā  hai  log  bahut  se  mile  the  raste  meñ
mirī  nazar  se  to  bas  ek  shaḳhs  guzrā  thā
ulajh  paḌī  thī  muqaddar  se  aarzū  merī
dam-e-firāq  use  roknā  bhī  chāhā  thā
mahak  rahā  hai  chaman  kī  tarah  vo  ā.īna
ki  jis  meñ  tū  ne  kabhī  apnā  ruup  dekhā  thā
ghaTā  uThī  hai  to  phir  yaad  aa  gayā  'anvar'
ajiib  shaḳhs  thā  akasr  udaas  rahtā  thā