bas  ab  tark-e-ta.alluq  ke  bahut  pahlū  nikalte  haiñ
so  ab  ye  tai  huā  hai  shahr  se  sādhū  nikalte  haiñ
ham  aa  nikle  ajab  se  ek  sahrā-e-mohabbat  meñ
shikārī  ke  ta.āqub  meñ  yahāñ  aahū  nikalte  haiñ
ye  ik  manzar  bahut  hai  umr  bhar  hairān  rahne  ko
ki  miTTī  ke  masāmoñ  se  bhī  rañg-o-bū  nikalte  haiñ
zamīr-e-sañg  tujh  ko  terā  paikar-sāz  aa  pahuñchā
abhī  āñkheñ  ubhartī  haiñ  abhī  aañsū  nikalte  haiñ
koī  nādir  ḳhazīna  hai  mire  dast-e-tasarruf  meñ
jhapaTne  ko  dar-o-dīvār  se  baazū  nikalte  haiñ
maiñ  apne  dushmanoñ  kā  kis  qadar  mamnūn  huuñ  'anvar'
ki  un  ke  shar  se  kyā  kyā  ḳhair  ke  pahlū  nikalte  haiñ