duniyā  bhī  ajab  qāfila-e-tishna-labāñ  hai
har  shaḳhs  sarāboñ  ke  ta.āqub  meñ  ravāñ  hai
tanhā  tirī  mahfil  meñ  nahīñ  huuñ  ki  mire  saath
ik  lazzat-e-pābandī-e-iz.hār-o-bayāñ  hai
haq  baat  pe  hai  zahar  bhare  jaam  kī  ta.azīr
ai  ġhairat-e-īmāñ  lab-e-suqrāt  kahāñ  hai
khetoñ  meñ  samātī  nahīñ  phūlī  huī  sarsoñ
bāġhoñ  meñ  abhī  tak  vahī  hañgām-e-ḳhizāñ  hai
ehsās  mirā  hijr-gazīda  hai  azal  se
kyā  mujh  ko  agar  koī  qarīb-e-rag-e-jāñ  hai
jo  dal  ke  samundar  se  ubhartā  hai  yaqīñ  hai
jo  zehan  ke  sāhil  se  guzartā  hai  gumāñ  hai
phūloñ  pe  ghaTāoñ  ke  to  saa.e  nahīñ  'anvar'
āvāra-e-gulzār  nasheman  kā  dhuāñ  hai