samajh  ke  farz  kabhī  din  ko  raat  mat  karnā
guzarte  lamhoñ  se  taqsīm  zaat  mat  karnā
bachā  kar  tez  havā  meñ  bikharnā  paḌtā  hai
anā  ko  nazar  ġham-e-hādsāt  mat  karnā
na  jaane  kaun  kahāñ  kyā  savāl  kar  baiThe
ġhubār-e-rāhguzar  apne  saath  mat  karnā
sameTnā  na  sar-e-rāh  ḳhvāb  kī  kircheñ
lahū-luhān  kabhī  apne  haath  mat  karnā
nahīñ  gunāh  kisī  shai  kī  aarzū  lekin
is  aarzū  ko  ġham-e-kā.enāt  mat  karnā
haiñ  darmiyāñ  meñ  abhī  fāsle  usūloñ  ke
qarīb  aa  ke  abhī  mujh  se  baat  mat  karnā
zavāl-e-zāt  to  'parvāz'  sab  kī  qismat  hai
yaqīn-e-dil  ko  magar  be-sabāt  mat  karnā