Fazal Husain Sabir

kufr se matlab hai na islam se

Fazal Husain Sabir

Kanpur, Uttar pradesh, India

1884-1962
kufr se matlab hai na islām se
hai ġharaz ma.ashūq-e-ḳhush-andām se
hai ġharaz ḳhum se subū se jaam se
kaam hai ham ko mai-e-gulfām se
dafn kar ke haa.e kahtā hai koī
qabr meñ ab so raho ārām se
qāf-o-lām-o-qāf hai har dam hameñ
ḳhush adū hai vaav sād-o-lām se
kyā ġharaz aa.eñ ayādat ko vo kyuuñ
un ko kab fursat hai apne kaam se
hazrat-e-ādam jo nikle ḳhuld se
ham bhī nikle kūcha-e-asnām se
chashm-e-jānāñ kī ġhalat tashbīh hai
is ko kuchh nisbat nahīñ bādām se
jo halāvat is meñ hai us meñ kahāñ
qand phīkā hai tirī dushnām se
jaa.eñ ham kahiye to ai 'sābir' kahāñ
vāsta hai ik but-e-ḳhud-kām se
Top Urdushayar.com