tirī  galī  sī  kisī  bhī  galī  kī  shaan  nahīñ
ki  is  zamīn  pe  sunte  haiñ  āsmān  nahīñ
mizha  se  baḌh  ke  nahīñ  hai  jo  koī  tīr-e-hasīñ
tumhāre  abrū  se  dilkash  koī  kamān  nahīñ
sisak  rahe  haiñ  jo  saḌkoñ  pe  saiñkaḌoñ  insāñ
tumhāre  shahar  meñ  shāyad  koī  makān  nahīñ
yahīñ  bahisht  hai  yaaro  yahīñ  hai  dozaḳh  bhī
ki  is  jahān  se  aage  koī  jahān  nahīñ
mirī  ḳhamoshī  kā  matlab  nahīñ  qarār-o-sukūñ
bharā  hai  dard  se  dil  tāqat-e-bayān  nahīñ
adū  ko  dete  haiñ  tarjīh  mujh  se  ḳhādim  par
bure-bhale  ke  parī-vash  mizāj-dān  nahīñ
hamāre  shahar  meñ  har  ek  is  tarah  chup  hai
ki  jaise  muñh  meñ  kisī  shaḳhs  ke  zabān  nahīñ
ye  ashk  manzil-e-āḳhir  haiñ  ishq  kī  hamdam
ki  in  sitāroñ  se  aage  koī  nishān  nahīñ
ho  'faḳhr'  ḳhaak  mujhe  qaum  kī  taraqqī  par
jo  fard-e-qaum  ye  mazdūr  aur  kisān  nahīñ