Fazal Husain Sabir

teri taswir ko taskin-e-jigar samjhe hain

Fazal Husain Sabir

Kanpur, Uttar pradesh, India

1884-1962

terī tasvīr ko taskīn-e-jigar samjhe haiñ

tere dīdār ko ham zauq-e-nazar samjhe haiñ

qahr āñkhoñ se tum ne hameñ jab bhī dekhā

ham ise ain mohabbat nazar samjhe haiñ

hai yahī un samajhnā to ḳhudā hāfiz hai

tālib-e-ḳhair ko vo bāni-e-shar samjhe haiñ

un mānind koī sāhab-e-idrāk kahāñ

jo farishte nahīñ samjhe vo bashar samjhe haiñ

apnī āñkhoñ meñ jagah dete haiñ mujh ko 'sābir'

mere ahbāb mujhe kohl-e-basar samjhe haiñ

Top Urdushayar.com