kabhī  ham  un  kī  sunte  haiñ  kabhī  apnī  sunāte  haiñ
isī  daur-e-mohabbat  meñ  ye  din  yuuñ  biit  jaate  haiñ
kahā  thā  jo  kabhī  tum  ne  chalo  dekheñ  nazāre  ham
usī  qātil-adā  se  ab  hamīñ  ko  kyuuñ  satāte  haiñ
zamāna  pūchhegā  tumhāre  ḳhasta-hāl  kā  beora
hamārī  baat  to  chhoḌo  hameñ  yuuñ  hī  bulāte  haiñ
pata  pūchhe  hamārā  jo  kaho  ab  kyā  batā.eñ  ham
raqīboñ  kā  pata  bhī  to  nahīñ  ab  ham  batāte  haiñ
bhale  'ḳhuddar'  kahtā  ho  ḳhatā-vārī  nahīñ  kī  hai
use  bolo  faqīroñ  meñ  use  murshid  batāte  haiñ