nā-rasā.ī  maqām  hotī  hai
nīm-e-shab-jāñ  tamām  hotī  hai
shams  kā  ham  kahā  nahīñ  sunte
chhāñv  meñ  riñd  shaam  hotī  hai
aisā  us  ne  kiyā  mujhe  kāmil
bazm-e-gulzār  aam  hotī  hai
jab  galī  meñ  tirī  ḳhilāfat  hai
raah  arz-e-qayām  hotī  hai
daar  'ḳhuddār'  chal  paḌā  ḳhud  hī
ab  qazā  us  ke  naam  hotī  hai