ye  jo  ishq-e-masnad  ke  log  haiñ  unheñ  ramz  saare  sikhā  piyā
ye  junūn-e-ishq  kī  dāstāñ  unheñ  harf  harf  sunā  piyā
mire  chārāgar  maiñ  huuñ  dar-ba-dar  maiñ  to  thak  ga.ī  hai  ajab  safar
mirī  be-nishāñ  sī  haiñ  manzileñ  mujhe  rāsta  bhī  dikhā  piyā
na  hudūd  meñ  na  quyūd  meñ  mirā  dil  tire  hī  vajūd  meñ
ye  sujūd  kā  hasīñ  pairahan  mirī  ruuh  par  to  sajā  piyā
maiñ  to  aas  thī  maiñ  to  pyaas  thī  kisī  phuul  kī  maiñ  bhī  baas  thī
mirī  pattiyāñ  gireñ  jā-ba-jā  unheñ  shāḳh  par  to  sajā  piyā
maiñ  faqīr  huuñ  maiñ  haqīr  huuñ  kisī  ḳhvāb  kī  na  asiir  huuñ
maiñ  aziiz  huuñ  to  tujhe  hī  bas  so  azīz-tar  hī  banā  piyā
maiñ  falak  se  aa.ī  ḳhatā  mirī  use  DhūñDnā  hai  vafā  mirī
ye  jafā  kī  jo  haiñ  haqīqateñ  mirī  aañkh  ko  vo  dikhā  piyā
mire  āsmāñ  mire  sā.ebāñ  tū  hī  rāz-dāñ  tū  hī  mehrbāñ
jahāñ  lā-makāñ  ke  haiñ  silsile  vahīñ  merā  ghar  bhī  banā  piyā
ye  jo  ārzūoñ  kā  des  hai  ye  jo  ḳhaak  ḳhaak  sā  bhes  hai
jo  azal  abad  kā  ye  bhed  hai  use  bhed  hī  meñ  batā  piyā
ye  qadam  qadam  pe  bashārateñ  ye  nazar  nazar  meñ  ziyārateñ
ye  basārteñ  ye  bujhārteñ  mire  shahr-e-dil  ko  dikhā  piyā
ye  jo  mere  man  meñ  hai  raushnī  yahī  zindagī  yahī  bandagī
mirī  fikr  meñ  tire  zikr  meñ  jo  charāġh  haiñ  vo  jalā  piyā