Najma Shaheen Khosa

ye ishq ajab lamha-e-tauqir hai jaanan

Najma Shaheen Khosa

ye ishq ajab lamha-e-tauqīr hai jānāñ

ḳhud merā ḳhudā us tafsīr hai jānāñ

jo naam hathelī lakīroñ meñ nahīñ thā

kyuuñ aaj talak dil pe vo tahrīr hai jānāñ

us ḳhvāb ta.abīr to mumkin nahīñ thī

āñkhoñ meñ magar us tāsīr hai jānāñ

maanā ki tire hāthoñ meñ haiñ phuul abhī tak

lekin tire pairoñ meñ jo zanjīr hai jānāñ

kyā jāniye kis roz bikhar jaa.e kahīñ bhī

is aas dil meñ jo ik tanvīr hai jānāñ

ye rog kahīñ mujh ko mismār na kar de

aa lauT kar aa to iksīr hai jānāñ

hijr meñ Duubī huī nayyā kināra

jīvan tire paas tadbīr hai jānāñ

ye zaḳhm judā.ī ke kabhī silne nahīñ haiñ

jaan le apnī yahī taqdīr hai jānāñ

us aag ke sho.aloñ meñ vo phūloñ tabassum

ik sajda-e-be-misl tasvīr hai jānāñ

ab din talab nahīñ 'shāhīn' mujhe to

ik shaam ab to mirī jāgīr hai jānāñ

Top Urdushayar.com