Najma Shaheen Khosa

daimi hai ishq aur ek daimi aawaz hai

Najma Shaheen Khosa

dā.imī hai ishq aur ik dā.imī āvāz hai
mere kānoñ meñ abhī tak bas vahī āvāz hai
saath mere raat bhar jo jāgtī āvāz hai
kaun jaane ye to merī ruuh kī āvāz hai
hijr ke lamhoñ meñ ab tak ye ḳhabar kab ho sakī
jāgtī huuñ maiñ yā koī jāgtī āvāz hai
hijr jaise vasl meñ us ko sunā to yuuñ lagā
maut jaisī zindagī meñ zindagī āvāz hai
ajnabī sī manziloñ kī ajnabī sī raah meñ
ik mukammal ḳhvāb aur ik ḳhvāb sī āvāz hai
aane vaale daur meñ 'shāhīn' rahnā hai mujhe
sab kaheñge ye vahī ik dukh bharī āvāz hai
Top Urdushayar.com