har  ghaḌī  dard  kī  shiddat  se  bilaktī  āñkheñ
ātish-e-hijr  se  har  lamha  pighaltī  āñkheñ
ek  lamhe  kī  mulāqāt  huī  umr  kā  rog
us  kī  sūrat  ko  haiñ  har  vaqt  tarastī  āñkheñ
dil-e-betāb  meñ  ab  tak  vo  machaltī  ḳhvāhish
terī  ḳhushbū  se  musalsal  ye  mahaktī  āñkheñ
ḳhvāb  meñ  Thahrā  huā  jhiil  kā  niilā  manzar
aur  usī  jhiil  kināre  haiñ  bhaTaktī  āñkheñ
ab  to  vahshat  sī  Tapaktī  hai  har  ik  manzar  se
soz-e-hijrāñ  kī  tapish  se  haiñ  sulagtī  āñkheñ
ishq  nīlām  huā  aam  yā  nākām  huā
rah  ga.iiñ  ahl-e-vafā  kī  to  barastī  āñkheñ
sāmne  pā  ke  use  dūsrī  jānib  taknā
ye  haqīqat  meñ  haiñ  'shāhīn'  sambhaltī  āñkheñ