jo  kho  chuke  haiñ  vo  manzar  talāsh  kartī  huuñ
bikhar  ga.e  haiñ  jo  paikar  talāsh  kartī  huuñ
kabhī  talāsh  jo  karnā  ho  apnā  aap  mujhe
to  us  kī  zaat  ke  andar  talāsh  kartī  huuñ
bichhaḌ  ga.ī  huuñ  maiñ  us  se  magar  nahīñ  bichhḌī
jo  band  us  ne  kiye  dar  talāsh  kartī  huuñ
kabhī  jo  had  se  guzar  jaa.e  dukh  to  hañstī  huuñ
ḳhushī  nahīñ  jo  mayassar  talāsh  kartī  huuñ
qarīb  rah  ke  bhī  kartī  rahī  thī  qurb  talāsh
maiñ  chāhatoñ  ke  hī  zevar  talāsh  kartī  huuñ
ye  aarzū  hai  sanam  ko  qarīb-tar  dekhūñ
so  regzār  meñ  patthar  talāsh  kartī  huuñ
karūñgī  us  kā  tavāf  umr  bhar  maiñ  bas  'shāhīñ'
ab  apnā  markaz-o-mehvar  talāsh  kartī  huuñ