qazā  jo  de  to  ilāhī  zarā  badal  ke  mujhe
mile  ye  jaam  inhī  añkhḌiyoñ  meñ  Dhal  ke  mujhe
maiñ  apne  dil  ke  samundar  se  tishna-kām  aayā
pukārtī  rahīñ  maujeñ  uchhal  uchhal  ke  mujhe
nigāh  jis  ke  liye  be-qarār  rahtī  thī
sazā  milī  hai  usī  raushnī  se  jal  ke  mujhe
maiñ  rahzanoñ  ko  kahīñ  aur  dekhtā  hī  rahā
kisī  ne  luuT  liyā  paas  se  nikal  ke  mujhe
kahāñ  nujūm  kahāñ  rāste  kī  gard-e-haqīr
ajiib  vahm  huā  tere  saath  chal  ke  mujhe
ab  ek  sāya-e-be-ḳhānumāñ  bhī  saath  meñ  hai
ye  kyā  milā  hai  tire  shahr  se  nikal  ke  mujhe
vahī  haqīqat-e-umr-e-darāz  ban  ke  rahe
kisī  ne  ḳhvāb  diye  the  jo  chand  pal  ke  mujhe
koī  bhī  jab  hadaf-e-ḳhanjar-e-adā  na  milā
vo  dasht-e-ġham  se  uThā  le  ga.e  machal  ke  mujhe