Najma Shaheen Khosa

ai zindagi mujhe tera koi to ab sira mile

Najma Shaheen Khosa

ai zindagī mujhe tirā koī to ab sirā mile
ki kis nagar milegī tū koī to ab pata mile
kisī kī yaad ne hameñ to ḳhud se duur kar diyā
bas apne aap se hameñ koī to ab judā mile
na jin kī hichkiyoñ ko koī shāna aaj tak milā
unhī ke āñsuoñ ko bhī koī to ab jagah mile
bas apne bām-o-dar se ham nā āshnā rahe sadā
koī to rāhbar mile koī to ab ḳhudā mile
jo thak ga.e haiñ dar-ba-dar vafā tirī talāsh meñ
zamīñ kī god meñ unheñ koī to ab jagah mile
koī junūñ se jā kahe mujhe na ab talāsh kar
ki āgahī ke dasht meñ koī to ab sadā mile
ujaḌ chukīñ haiñ bastiyāñ baseñgī, kis tarah bhalā
vafā ke dar se bas hameñ koī to ab davā mile
haiñ ek jaise aks aur ek sī sarisht bas
hujūm hai hujūm meñ koī to ab judā mile
Top Urdushayar.com