Najma Shaheen Khosa

ai ishq is qafas se mujhe ab rihai de

Najma Shaheen Khosa

ai ishq is qafas se mujhe ab rihā.ī de

dekhūñ jidhar mujhe tirā jalva dikhā.ī de

shahar-e-shab-e-firāq ke gahre sukūt meñ

apnī sadā mujhe bhī kabhī to sunā.ī de

yād-e-habīb mujh ko bhī ab mujh se kar judā

mujh ko hujūm-e-dard meñ merī ikaa.ī de

kab se maiñ ḳhāmushī ke nagar meñ muqīm huuñ

lekin ye kaun hai jo yahāñ bhī sunā.ī de

zulmat-zadoñ ko jāda-o-manzil kyā ḳhabar

tārīk rāstoñ meñ bhalā kyā sujhā.ī de

qatre meñ maujzan hai samundar har jagah

ab vo mujhe farāz-e-ufuq tak rasā.ī de

maqtal meñ kaise chhoḌ ke rāheñ badal gayā

yārab kisī sanam ko na aisī ḳhudā.ī de

Top Urdushayar.com