bahut  dinoñ  meñ  ham  un  se  jo  ham-kalām  hue
dil-o-nazar  hama-tan  sajda-o-salām  hue
hanūz  jaise  masīhā  kī  aamad  aamad  hai
agarche  umr  huī  zindagī  tamām  hue
shafaq  sī  ḳhema-e-jānāñ  kī  samt  baaqī  hai
tamām  vādī-o-kohsār  ġharq-e-shām  hue
ka.ī  gile  the  jo  shor-e-jahāñ  meñ  Duub  ga.e
ka.ī  sitam  the  jo  ehsān  ban  ke  aam  hue
kisī  taraf  jinheñ  rāh-e-gunāh  mil  na  sakī
kuchh  aise  log  bhī  duniyā  meñ  nek-nām  hue
ufuq  ke  paar  kahīñ  se  lahū  uchhaltā  hai
zamīñ  se  duur  bhī  kyā  kyā  na  qatl-e-ām  hue
chale  the  un  se  musībat  meñ  ham  gila  karne
kuchh  aur  morid-e-taz.hīk-e-ḳhās-o-ām  hue
rah-e-talab  meñ  na.e  regzār  tak  pahuñche
vo  tishna-kām  jo  sahrā  meñ  tez  gaam  hue