jab  se  maiñ  ne  ishq  kā  pairāhan  pahnā  hai
sūraj  mujh  se  aañkh  churātā  phirtā  hai
is  kī  bāteñ  mujh  se  to  ab  pūchho  nā
haal  us  kā  bhī  bilkul  mere  jaisā  hai
kaise  us  ko  dil  kī  hālat  samjhā.ūñ
baat  karūñ  to  aañkh  churāne  lagtā  hai
kuchh  na  kahnā  us  kī  bhī  majbūrī  hai
sharm-o-hayā  kā  dāman  us  ne  thāmā  hai
dekh  use  sab  zikr  hamārā  karte  haiñ
us  kī  aañkh  meñ  sirf  hamārā  chehra  hai
rāz-e-mohabbat  kaise  bhalā  us  ko  likkhūñ
ḳhat  merā  vo  dostoñ  meñ  bhī  paḌhtā  hai