ye  qadam  qadam  kashākash  dil  be-qarār  kyā  hai
jo  yaqīñ  na  ho  amal  par  to  nashāt-e-kār  kyā  hai
ba-ḳhudā  nasīm-e-gulshan  tirī  vahshatoñ  ke  sadqe
ye  mizāj-e-nāma-bar  hai  to  mizāj-e-yār  kyā  hai
vo  karam  na  ho  sitam  ho  koī  baat  kam  se  kam  ho
ye  adā-e-be-niyāzī  mire  ġham-gusār  kyā  hai
ye  ham  ahl-e-ġham  kī  manzil  hai  dabe  qadam  guzar  jā
ki  ajal  yahāñ  ke  fitnoñ  meñ  tirā  shumār  kyā  hai
abhī  aa  ke  naġhma-e-dil  kī  bahār  dekh  jaao
maiñ  navā-e-ḳhud-shikan  huuñ  mirā  e'tibār  kyā  hai