un  se  ham  lau  lagā.e  baiThe  haiñ
aag  dil  meñ  dabā.e  baiThe  haiñ
vo  jo  gardan  jhukā.e  baiThe  haiñ
hashr  kyā  kyā  uThā.e  baiThe  haiñ
tere  kūche  ke  baiThne  vaale
apnī  hastī  miTā.e  baiThe  haiñ
zor  bal  uf-re  is  nazākat  par
ḳhalq  kā  dil  dukhā.e  baiThe  haiñ
kyuuñ  uThīñ  un  kī  bazm  se  aġhyār
rañg  apnā  jamā.e  baiThe  haiñ
kuchh  nahīñ  ḳhāk-e-dasht-e-ulfat  meñ
ham  bahut  ḳhaak  uḌaa.e  baiThe  haiñ
ham  nahīñ  aap  meñ  ḳhushī  se  ki  vo
ghar  meñ  mehmān  aa.e  baiThe  haiñ
kyuuñ  na  phailā.eñ  paaoñ  bazm  meñ  ġhair
aap  ke  sar  chaḌhā.e  baiThe  haiñ
jañg-jū  vo  milāp  meñ  bhī  rahe
mujh  se  āñkheñ  laḌā.e  baiThe  haiñ
dil  ke  khoTe  haiñ  sab  ye  sīm-andām
ḳhuub  ham  āzmā.e  baiThe  haiñ
husn-e-nazara-soz  hai  parda
go  vo  parda  uThā.e  baiThe  haiñ
us  kī  aariz  se  rū-kashī  kaisī
gul  pe  ham  ḳhaar  khaa.e  baiThe  haiñ
jiite  haiñ  naam  ko  vagarna  ham
ishq  meñ  jī  khapā.e  baiThe  haiñ
haar  dekhā  bhī  ḳhūn-e-āshiq  kā
aap  aur  sar  jhukā.e  baiThe  haiñ
kyuuñ  ki  bigḌā  huā  unheñ  kahiye
bigḌe  aur  muñh  banā.e  baiThe  haiñ
jī  churānā  aur  us  pe  haa.e  sitam
aap  āñkheñ  churā.e  baiThe  haiñ
sharm  bhī  ik  tarah  kī  chorī  hai
vo  badan  ko  churā.e  baiThe  haiñ
jo  ki  baiThe  haiñ  un  kī  pesh-e-nigāh
maut  aane  kī  jaa.e  baiThe  haiñ
dekh  saaqī  ko  apne  dariyā-dil
zarf-e-mai-kash  baḌhā.e  baiThe  haiñ
us  ke  dar  se  lagā  ke  maqtal  tak
jaañ  fidā  jaa.e  jaa.e  baiThe  haiñ
ġhair  bātoñ  se  aur  ham  āñkhoñ  se
ek  tūfāñ  uThā.e  baiThe  haiñ
hai  ye  raushan  ki  hai  hijāb  meñ  chāñd
aap  kyā  muñh  chhupā.e  baiThe  haiñ
is  ḳhushī  meñ  hinā  lagāte  haiñ
ki  mirā  ḳhuuñ  bahā.e  baiThe  haiñ
jāntā  huuñ  ki  qatl  par  mere
aap  beḌā  uThā.e  baiThe  haiñ
mere  dil  soz  ban  ke  yaar  mire
muft  jī  ko  jalā.e  baiThe  haiñ
kyā  sikhā.egā  un  ko  zulm-e-falak
ḳhud  vo  sīkhe-sikhā.e  baiThe  haiñ
hai  jahāñ  is  se  faizyāb  'anvar'
jis  ke  dar  par  ham  aa.e  baiThe  haiñ