hai  bhī  aur  phir  nazar  nahīñ  aatī
dhyān  meñ  vo  kamar  nahīñ  aatī
māñgtā  huuñ  magar  nahīñ  aatī
ye  ajal  vaqt  par  nahīñ  aatī
tere  kushtoñ  kā  roz-e-hashr  hisāb
ġhairat  o  fitna-gar  nahīñ  aatī
tab.a  apnī  bhī  ek  āñdhī  hai
ḳhaak  uḌānī  magar  nahīñ  aatī
abr  kis  kis  tarah  barastā  hai
sharm  ai  chashm-e-tar  nahīñ  aatī
tum  to  yuuñ  mahv-e-zulm  ho  ki  hamīñ
aah  karnī  magar  nahīñ  aatī
nazr  kuchh  kar  ke  dil  ko  le  ki  ye  jins
muft  ai  muft-bar  nahīñ  aatī
muḳhtasar  hāl-e-dard-e-dil  ye  hai
maut  ai  chāragar  nahīñ  aatī
yārab  ābād  kū-e-yār  rahe
ki  qayāmat  idhar  nahīñ  aatī
niiñd  kā  kaam  garche  aanā  hai
merī  āñkhoñ  meñ  par  nahīñ  aatī
be-tarah  paḌtī  hai  nazar  un  kī
ḳhair  dil  kī  nazar  nahīñ  aatī
be-parī  ne  uḌā  rakhā  hai  mujhe
hasrat-e-bāl-o-par  nahīñ  aatī
sab  kuchh  aatā  hai  tū  nahīñ  aatā
gar  vafā  sīm-bar  nahīñ  aatī
apnī  is  aarzū  ko  kyā  kosūñ
aab  vahāñ  teġh  par  nahīñ  aatī
jaan  denī  to  ham  ko  aatī  hai
dil  ko  taskīn  agar  nahīñ  aatī
ġhair  kuchh  māñgtā  hai  dekheñ  to
hai  tumheñ  kis  qadar  nahīñ  aatī
dil  kī  apne  jigar  pe  luuñ  lekin
ek  kī  ek  par  nahīñ  aatī
dushman  aur  ik  nigah  meñ  lauT  na  jaa.e
choT  puurī  magar  nahīñ  aatī
terā  kūcha  hai  misr-e-nazāra
ki  palaT  kar  nazar  nahīñ  aatī
un  kā  aanā  to  ek  aanā  hai
maut  bhī  vaqt  par  nahīñ  aatī
'anvar'  is  shab  kī  dekh  lo  tāḳhīr
sub.h  hotī  nazar  nahīñ  aatī