āshiq  hue  to  ishq  meñ  hoshyār  kyuuñ  na  the
ham  in  ke  madah-ḳhvāñ  sar-e-bāzār  kyuuñ  na  the
haañ  jab  sitam  ko  ain  karam  kah  rahe  the  log
ham  bhī  sharīk-e-garmī-e-guftār  kyuuñ  na  the
jab  chal  rahā  thā  vaqt  pe  jaadū  nigāh  kā
ik  ham  asīr-e-chashm-e-fusūñ-kār  kyuuñ  na  the
ab  kyā  shahīd-e-nāz  bane  phir  rahe  haiñ  log
marne  kā  shauq  thā  to  sardār  kyuuñ  na  the
'vāris'  ye  shā.irī  sam-e-qātil  se  kam  nahīñ
aap  is  balā-e-jāñ  se  ḳhabar-dār  kyuuñ  na  the