yūsuf-e-husn  kā  husn  aap  ḳharīdār  rahā
pahle  bazār-e-azal  misr  kā  bāzār  rahā
bismil-e-nāz  rahā  Kushta-e-raftār  rahā
zindagī  bhar  mujhe  marne  se  sarokār  rahā
jurm-e-nā-karda  uqūbat  kā  sazā-vār  rahā
shaiḳh  sarshār-e-siyah  mastī-e-pindār  rahā
parda-e-chashm  jo  pās-e-adab-e-yār  rahā
maiñ  rahā  sāmne  tū  bhī  pas-e-dīvār  rahā
dil  ye  shādī-e-jarāhat  se  huā  bālīda
ki  tirā  tiir  yahāñ  tā-lab-e-sūfār  rahā
gir  ke  nazroñ  se  tirī  phir  na  zamīñ  se  uTThā
maiñ  subuk  bhī  jo  huā  tū  bhī  girāñ-bār  rahā
aaj  hī  aaj  hai  fardā-e-qayāmat  maujūd
do  ghaḌī  aur  jo  hañgāma-e-raftār  rahā
tuur  tū  barq-e-tajallī  se  huā  ḳhākistar
aur  maiñ  soḳhta-e-hasrat-e-dīdār  rahā
rahm  us  sāda-dilī  par  ki  mirā  zaḳhm-e-jigar
ġhair  se  chāra-o-darmāñ  kā  talabgār  rahā
maiñ  vo  ik  mujrim-e-ta.azīr  talab  huuñ  ki  sadā
badle  dushman  ke  uqūbat  kā  sazā-vār  rahā
bas-ki  dil  meñ  rahī  ik  kashmakash  yās-o-ummīd
dard  jo  dil  meñ  rahā  jaan  se  bezār  rahā
ab  vo  fardā  bhī  nahīñ  roz  kī  taskīñ  ke  liye
ab  faqat  hashr  hī  par  va.ada-e-dīdār  rahā
pī  bhī  jā  shaiḳh  ki  saaqī  kī  ināyat  hai  sharāb
maiñ  tire  badle  qayāmat  meñ  gunahgār  rahā
ḳhush  huuñ  chup  rahne  se  un  ke  dam-e-paiġhām-e-visāl
ki  ye  inkār  to  kuchh  shāmil-e-iqrār  rahā
sar  pe  phirtā  hī  rahā  aur  na  girā  mujh  pe  kabhī
āsmāñ  ban  ke  tirā  sāya-e-dīvār  rahā
garche  kyā  kuchh  the  magar  aap  ko  kuchh  bhī  na  ginā
ishq-e-barham  zan-e-kāshāna-e-pindār  rahā
tum  ne  yuuñ  ghar  meñ  to  kyā  kuchh  na  uThā.e  fitne
ik  qayāmat  kā  uThānā  sar-e-bāzār  rahā
haa.e  vo  chashm  ki  dekhe  tujhe  sargarm-e-adā
vaa.e  vo  dil  ki  tirā  mahram-e-asrār  rahā
maiñ  rahā  bhī  to  rahā  ḳhaar  kī  sūrat  ki  sadā
terī  nazroñ  meñ  subuk-dil  pe  tire  yaar  rahā
chashm  par  nashsha-e-sāqī  jo  rahī  aks-fagan
chuur  mastī  se  har  ik  sāġhar-e-sarshār  rahā
huuñ  meñ  vo  jins  ki  huuñ  raunaq-e-bāzār-e-kasād
huuñ  vo  saudā  ki  ḳharīdār  bhī  bezār  rahā
kuchh  ḳhabar  hotī  to  maiñ  apnī  ḳhabar  kyuuñ  rakhtā
ye  bhī  ik  be-ḳhabarī  thī  ki  ḳhabar-dār  rahā
thak  ke  baiThe  ho  dar-e-sauma.a  par  kyā  'anvar'
do-qadam  aur  ki  ye  ḳhāna-e-ḳhummār  rahā