Anwar Dehlvi

ashk betab wa nigah be-bak wa chashm-e-tar KHarab

Anwar Dehlvi

Delhi, India

1847-1885

ashk betāb va nigah be-bāk va chashm-e-tar ḳharāb

chashm-e-bīnā se agar dekho to ghar ghar ḳharāb

girya be-tāsīr o fariyād-e-dil-e-muztarib ḳharāb

kār-e-ishq-o-āshiqī nāqis tamām aksar ḳharāb

ik hamārā naam jo pahuñche na terī bazm tak

ik hamārī ḳhaak hai jo phirtī hai dar dar ḳharāb

hai adab se nutq band ab kyā bayāñ ho mudda.ā

pahle yahāñ ho chukā guftār daftar ḳharāb

dil ḳharāb aur sab havā-o-hirs-e-dil bekār hai

hai fazā-e-dahr meñ hāl-e-but-o-but-gar ḳharāb

jaan jaatī hai guftār-e-shakar-ālūd par

bul-havas se niyyat-e-āshiq hai kuchh baḌh kar ḳharāb

shab-e-adū ke saath din ko mujh se chhupte phirte ho

al-ġharaz phirte ho yuuñ rāt-bhar din-bhar ḳharāb

dil ḳharābāt-e-muġhāñ se ham uThā sakte nahīñ

ho ga.e is ḳhāk-dāñ meñ chaar din rah kar ḳharāb

phoḌnā sar aa Thahrā to lākhoñ sañg haiñ

kījiye kyuuñ āstān-e-yār patthar ḳharāb

jo muqābil meñ balā aa.e vo maujūd us meñ hai

dil huā apnā safā se ā.īna ban kar ḳharāb

ik sanam ke haath bik jaatā na phirtā dar-ba-dar

but-faroshī se huā hai kis qadar aazar ḳharāb

lutf-e-sāqī aam thā par vā-e-baḳht andalīb

jām-e-gil bekār niklā sāġhar-e-ab.har ḳharāb

mere dil meñ ek dam aate nahīñ misl-e-murād

ho ga.e aġhyār āñkhoñ meñ tum rah kar ḳharāb

tum kisī va.ada se phir jaao ki ho jā.ūñ tamām

ho agar phirne meñ mere halq par ḳhanjar ḳharāb

munharif ham dekhte haiñ kuchh nigāh-e-tez tez

kis rag-e-jāñ se huā hai ye sar-e-nashtar ḳharāb

ārzū-e-qatl bar aa.ī to kyā bar aa.ī ḳhaak

kuchh yahāñ qismat burī kuchh vahāñ dam-e-ḳhanjar ḳharāb

yuuñ ḳharābāt-e-muġhāñ bhī hai ḳharāb-e-rozgār

lekin us se bhī hai kuchh terā dil-e-'anvar' ḳharāb

Top Urdushayar.com