Anwar Dehlvi

ho raha hai TukDe TukDe dil mere gham-KHwar ka

Anwar Dehlvi

Delhi, India

1847-1885
ho rahā hai TukḌe TukḌe dil mere ġham-ḳhvār kā
hai mire zaḳhm-e-jigar meñ kaaT teġh-e-yār kā
shor hai ġhul hai jahāñ meñ murdan-e-dushvār kā
ek chaltā vaar hai teġh-e-nigāh-e-yār kā
naġhma dilkash hai dushman andalīb-e-zār kā
hai qafas meñ band honā kholnā minqār kā
mast kuchh aisā huuñ chashm-e-nīm-e-mast-e-yār kā
zarf ḳhālī jāntā huuñ sāġhar-e-sarshār kā
kyā kahūñ kyā haal hai mujh nā-tavān-o-zār kā
huuñ nigāh-e-vāpsīñ apnī dil-e-bīmār kā
āsmāñ phirtā hai hasb-e-mudd.ā-e-mudda.ī
raah par laanā ġhazab hai aise kaj-raftār kā
bal be-bad-ḳhūī mizāj-e-yār meñ sau bal paḌe
ek bal niklā jo tār-e-gesū-e-ḳham-dār kā
dast-e-sāqī par lagā.e aañkh rahtā hai mudām
jām-e-mai hai dīda-e-hasrat kisī mai-ḳhvār kā
kis qadar bashshāsh hai asrār se ḳhālī nahīñ
rañg merā uḌ gayā muñh dekh kar sofār kā
maiñ giraftār-e-vafā huuñ chhuT ke jā.ūñgā kahāñ
baal bāñdhā chor huuñ har tār-e-zulf-e-yār kā
koī ik gardish to ho aisī bhī haañ ai chashm-e-yār
shaiḳh pūchhe mujh se rasta ḳhāna-e-ḳhummar kā
vaah re qismat ki vo mere muqaddar meñ paḌā
aah ne jo bal nikālā charḳh-e-kaj-raftār kā
le chalo vaa.iz ko hāthoñ-hāth uThā.e mai-kasho
pāsbāñ chal kar banā do ḳhāna-e-ḳhummar kā
jaan sunñe vāloñ kī vaa.iz laboñ par aa ga.ī
vaah kyā kahnā hai hazrat aap kī guftār kā
hai jo uftādoñ se kuchh nafrat to nafrat hī sahī
kyuuñ zamīñ par gir paḌā saaya terī dīvār kā
shakl-e-marham dekh kar Dartā hai merā zaḳhm-e-dil
khol kar aañkh apnī dekhā hai jo muñh sofār kā
naala mere lab pe aatā hai jo sau sau naaz se
koī partav le uḌā shāyad tirī raftār kā
ye to zāhir hai ki vasl un kā kahāñ aur ham kahāñ
lekin is paiġhām meñ kuchh lutf hai takrār kā
dil ko le jā mujh se yā to aap le yā baañT de
par ye hissa hai terī gesū ke ik ik taar kā
al-amān us burrish-e-teġh-e-nazar se al-amān
māntī hai barq bhī lohā terī talvār kā
haath sambhlā rakhiyo ai mashshāta-e-jādū-tarāz
ik jahān-e-dil hai basta turra-e-tarrār kā
huuñ to dīvāna vale hushyārī-e-matlab to dekh
sar bhī phoḌā DhūñD kar patthar tirī dīvār kā
kuchh idhar se arz matlab aur udhar se kuchh nahīñ
ik judāgāna mazā hai vasl meñ takrār kā
kitnā gustāḳhī se khīñchā hai tujhe āġhosh meñ
maiñ gale kā haar huuñ tere gale ke haar kā
kyuuñ nahīñ girtā mire āfat-zadoñ par haa.e haa.e
āsmāñ bhī hai magar saaya tirī dīvār kā
chhū ga.ī kāfir havā kis kī nigāh-e-garm se
phuul kumlāyā huā hai kuchh gul-e-ruḳhsār kā
miltī hai āḳhīr ko kuchh kaifiyat-e-soz-o-gudāz
sā.iqa hissa hai pahlā tālib-e-dīdār kā
ek jalva par chamak uThtī hai sab aqlīm-e-ishq
kaun aalam hai hamāre dīda-e-bedār kā
āsmāñ rakhtā hai āñkheñ mehr-o-mah se us se pūchh
kaun aalam hai hamāre dīda-e-bedār kā
husn meñ ḳhud-raftagī hai to nahīñ maan.e hijāb
bū-e-gul ko phāñdnā kyā baaġh kī dīvār kā
vo hī apnī chaal hai koī mare koī jiye
le uḌe saarā chalan tum charḳh-e-kaj-raftār kā
Top Urdushayar.com