Anwar Dehlvi

ab apna haal hum unhen tahrir kar chuke

Anwar Dehlvi

Delhi, India

1847-1885
ab apnā haal ham unheñ tahrīr kar chuke
ḳhāma supurd kātib-e-taqdīr kar chuke
kahte haiñ tum visāl kī tadbīr kar chuke
goyā hamāre haq meñ vo taqdīr kar chuke
tadbīr ko havāla-e-taqdīr kar chuke
ham be-zabāñ bhī yaar se taqrīr kar chuke
dil-e-ḳhār-ḳhār ḳhanda-e-chashm-e-asar hai ab
dil-e-garm sirf nāla-e-shab-gīr kar chuke
martā huuñ yuuñ ki basta-e-fitrāk kyuuñ nahīñ
maiñ huuñ vahī ki tum jise naḳhchīr kar chuke
ham jaan kyuuñ na deñ dam-e-guftār baar baar
par dekhte haiñ ye ki vo taqrīr kar chuke
bāhar hai zabt-e-sharm se āshuftagī mirī
tum bhī asīr-e-zulf-e-girah-gīr kar chuke
vaqt-e-payām vasl vo kahte haiñ ho chukā
shāyad adū se vasl kī tahrīr kar chuke
bas intizār-e-sub.h-e-qayāmat nahīñ qubūl
ham ab to azm nāla-e-shab-gīr kar chuke
kuchh muzd-e-rañj bāzū-e-qātil nahīñ ki dil
nazr adā-e-burrash-e-shamshīr kar chuke
khultā nahīñ ye uqda ki ho baiThe shaad kyuuñ
kis ko asīr-e-zulf-e-girah-gīr kar chuke
kahiye ki shān-e-ishq meñ kyā ho ga.ī kamī
go aap ḳhuub sī mirī tahqīr kar chuke
dil hai yahāñ do-nīm qusūr-e-tapish muaaf
tum bhī nigāh-e-bazm ko shamshīr kar chuke
khultā hai aur nāla-sarā.ī se dil mirā
naala ye biiñ to un pe bhī tāsīr kar chuke
sūrat chhupā.iye kisī sūrat-parast se
ham dil meñ naqsh aap kī tasvīr kar chuke
dāman-kashāñ chale haiñ mirī ḳhaak par se vo
barbād karne kī mirī tadbīr kar chuke
kuchh hashr-ḳhezī shab-e-ġham-e-intizār-e-marg
kuchh duur zulm vaqt kī tāḳhīr kar chuke
gautam ne us ko rakh ke nazar meñ girā diyā
lekin adū kī izzat-o-tauqīr kar chuke
tā-charḳh haiñ uḌaa.e phire mujh ko zo.af meñ
naale kahāñ kahāñ mujhe tash.hīr kar chuke
hai vahāñ nigah nigah ko sar-e-dil-barī magar
dil ko mere vo qismat-e-sad-tīr kar chuke
kahiye ki zor-e-bāzūe meñ kidhar gayā
sau baar ġhair aap kī taqsīr kar chuke
pahle jabīñ havāla-e-taqdīr kar chuke

dil musir hai ki kār-kunān-e-qazā a
sāmān-e-sad-shikastīñ ta.amīr kar chuke
chun chun ke be-gunah ko vo laate haiñ zer-e-teġh
ham jab se is ummīd pe taqsīr kar chuke
āḳhir to ba.ad us ke hai yaas se ummīd
jo kuchh ham apnī aah kī tāsīr kar chuke
ab kyā kaheñ ki qaul-e-vafā de chuke unheñ
pahle hī qat.a dāman-e-taqrīr kar chuke
ab kyā rahā lapeT meñ dāman se aap ke
miTTī ham apnī aap jo tauqīr kar chuke
hai chashm-e-dajla baaz to kyā ham ko chashm-e-zīst
kāshāna rū-e-āb pe ta.amīr kar chuke
kyuuñ iltijā-e-qatl se kījiye unheñ satañg
jab vaqt aa gayā to vo tāḳhīr kar chuke
ham kis se shukr-o-mad.h qubūl-o-duā kareñ
lab qismat-e-shikāyat-e-tāsīr kar chuke
ab muñh se boltī koī tasvīr aap kī
jaañ apnī ham havāla-e-taqdīr kar chuke
is lab pe imtihāñ ke liye mar miTe haiñ ham
jiine se pahle marne kī tadbīr kar chuke
hotā hai vo hī yahāñ ki jo manzūr hai vahāñ
'anvar' ham āzmā.ish-e-taqdīr kar chuke
Top Urdushayar.com