ab  apnā  haal  ham  unheñ  tahrīr  kar  chuke
ḳhāma  supurd  kātib-e-taqdīr  kar  chuke
kahte  haiñ  tum  visāl  kī  tadbīr  kar  chuke
goyā  hamāre  haq  meñ  vo  taqdīr  kar  chuke
tadbīr  ko  havāla-e-taqdīr  kar  chuke
ham  be-zabāñ  bhī  yaar  se  taqrīr  kar  chuke
dil-e-ḳhār-ḳhār  ḳhanda-e-chashm-e-asar  hai  ab
dil-e-garm  sirf  nāla-e-shab-gīr  kar  chuke
martā  huuñ  yuuñ  ki  basta-e-fitrāk  kyuuñ  nahīñ
maiñ  huuñ  vahī  ki  tum  jise  naḳhchīr  kar  chuke
ham  jaan  kyuuñ  na  deñ  dam-e-guftār  baar  baar
par  dekhte  haiñ  ye  ki  vo  taqrīr  kar  chuke
bāhar  hai  zabt-e-sharm  se  āshuftagī  mirī
tum  bhī  asīr-e-zulf-e-girah-gīr  kar  chuke
vaqt-e-payām  vasl  vo  kahte  haiñ  ho  chukā
shāyad  adū  se  vasl  kī  tahrīr  kar  chuke
bas  intizār-e-sub.h-e-qayāmat  nahīñ  qubūl
ham  ab  to  azm  nāla-e-shab-gīr  kar  chuke
kuchh  muzd-e-rañj  bāzū-e-qātil  nahīñ  ki  dil
nazr  adā-e-burrash-e-shamshīr  kar  chuke
khultā  nahīñ  ye  uqda  ki  ho  baiThe  shaad  kyuuñ
kis  ko  asīr-e-zulf-e-girah-gīr  kar  chuke
kahiye  ki  shān-e-ishq  meñ  kyā  ho  ga.ī  kamī
go  aap  ḳhuub  sī  mirī  tahqīr  kar  chuke
dil  hai  yahāñ  do-nīm  qusūr-e-tapish  muaaf
tum  bhī  nigāh-e-bazm  ko  shamshīr  kar  chuke
khultā  hai  aur  nāla-sarā.ī  se  dil  mirā
naala  ye  biiñ  to  un  pe  bhī  tāsīr  kar  chuke
sūrat  chhupā.iye  kisī  sūrat-parast  se
ham  dil  meñ  naqsh  aap  kī  tasvīr  kar  chuke
dāman-kashāñ  chale  haiñ  mirī  ḳhaak  par  se  vo
barbād  karne  kī  mirī  tadbīr  kar  chuke
kuchh  hashr-ḳhezī  shab-e-ġham-e-intizār-e-marg
kuchh  duur  zulm  vaqt  kī  tāḳhīr  kar  chuke
gautam  ne  us  ko  rakh  ke  nazar  meñ  girā  diyā
lekin  adū  kī  izzat-o-tauqīr  kar  chuke
tā-charḳh  haiñ  uḌaa.e  phire  mujh  ko  zo.af  meñ
naale  kahāñ  kahāñ  mujhe  tash.hīr  kar  chuke
hai  vahāñ  nigah  nigah  ko  sar-e-dil-barī  magar
dil  ko  mere  vo  qismat-e-sad-tīr  kar  chuke
kahiye  ki  zor-e-bāzūe  meñ  kidhar  gayā
sau  baar  ġhair  aap  kī  taqsīr  kar  chuke
pahle  jabīñ  havāla-e-taqdīr  kar  chuke
dil  musir  hai  ki  kār-kunān-e-qazā  a
sāmān-e-sad-shikastīñ  ta.amīr  kar  chuke
chun  chun  ke  be-gunah  ko  vo  laate  haiñ  zer-e-teġh
ham  jab  se  is  ummīd  pe  taqsīr  kar  chuke
āḳhir  to  ba.ad  us  ke  hai  yaas  se  ummīd
jo  kuchh  ham  apnī  aah  kī  tāsīr  kar  chuke
ab  kyā  kaheñ  ki  qaul-e-vafā  de  chuke  unheñ
pahle  hī  qat.a  dāman-e-taqrīr  kar  chuke
ab  kyā  rahā  lapeT  meñ  dāman  se  aap  ke
miTTī  ham  apnī  aap  jo  tauqīr  kar  chuke
hai  chashm-e-dajla  baaz  to  kyā  ham  ko  chashm-e-zīst
kāshāna  rū-e-āb  pe  ta.amīr  kar  chuke
kyuuñ  iltijā-e-qatl  se  kījiye  unheñ  satañg
jab  vaqt  aa  gayā  to  vo  tāḳhīr  kar  chuke
ham  kis  se  shukr-o-mad.h  qubūl-o-duā  kareñ
lab  qismat-e-shikāyat-e-tāsīr  kar  chuke
ab  muñh  se  boltī  koī  tasvīr  aap  kī
jaañ  apnī  ham  havāla-e-taqdīr  kar  chuke
is  lab  pe  imtihāñ  ke  liye  mar  miTe  haiñ  ham
jiine  se  pahle  marne  kī  tadbīr  kar  chuke
hotā  hai  vo  hī  yahāñ  ki  jo  manzūr  hai  vahāñ
'anvar'  ham  āzmā.ish-e-taqdīr  kar  chuke