nazar  aa.e  kyā  mujh  se  faanī  kī  sūrat
ki  pinhāñ  huuñ  dard-e-nihānī  kī  sūrat
banā  huuñ  vo  maiñ  nā-tavānī  kī  sūrat
ġhazab  hī  khichī  be-nishānī  kī  sūrat
ḳhamoshī  jo  hai  jqtizā-e-tabī.at
to  un  ko  milī  be-dahānī  kī  sūrat
nazar  aa.e  kyā  jalva-e-husn  baaqī
ki  parda  hai  duniyā-e-fānī  kī  sūrat
tum  aur  zikr-e-aġhyār  par  chup  rahoge
kahe  detī  hai  be-dahānī  kī  sūrat
hamāre  gale  par  to  chaltī  dikhāo
kahāñ  teġh  meñ  hai  ravānī  kī  sūrat
qayām  apnā  us  kūcha  meñ  pā-bigul  hai
mile  ḳhaak  meñ  ham  to  paanī  kī  sūrat
gudāz-e-dil-e-tishna  kā  maañ  ġhazab  hai
vo  ḳhanjar  na  bah  jaa.e  paanī  kī  sūrat
barābar  hai  yahāñ  būd-o-nābūd  apnī
nishāñ  hai  mirā  be-nishānī  kī  sūrat
araq-e-sharm  se  ḳhāksārī  meñ  huuñ  maiñ
huā  ḳhaak  bhī  maiñ  to  paanī  kī  sūrat
jo  pūchho  to  us  chashm  kā  dekhnā  hai
vo  hai  gardish  āsmānī  kī  sūrat
Duboyā  mujhe  aab  meñ  sharm  se  vo
khaḌe  haiñ  mire  sar  pe  paanī  kī  sūrat
numūd  apnī  vaaq.e  meñ  kuchh  bhī  nahīñ  hai
yahāñ  ḳhvāb  hai  zindagānī  kī  sūrat
vo  dil  rū-numā.ī  meñ  lete  haiñ  pahle
dikhāte  haiñ  jab  jāñ-sitānī  kī  sūrat
mujhe  kushta  dekhā  to  qātil  ne  pūchhā
yaqīñ  hai  yahāñ  bad-gumānī  kī  sūrat
paḌe  mar  ke  miTne  ko  ham  Thokaroñ  meñ
magar  kaT  ga.ī  zindagānī  kī  sūrat
zabāñ  par  hai  qāsid  kī  apnī  rasā.ī
huā  huuñ  payām  zabānī  kī  sūrat
mujassam  hī  mauhūm  aane  meñ  un  ke
nazar  aatī  hai  zindagānī  kī  sūrat
tire  va.ade  par  ziist  hai  marg  apnī
bahut  hī  baḌhī  nā-tavānī  kī  sūrat
vo  is  shakl  se  merī  bālīñ  pe  aa.e
ki  ik  aafat  āsmānī  kī  sūrat
nazar  ban  ke  phirtī  hai  āñkhoñ  meñ  apnī
kisī  ālam-e-naujavānī  kī  sūrat
na  ho  rashk  to  kījiye  vahāñ  mad.h-e-dushman
ki  hai  yaar  kī  rāz-dānī  kī  sūrat
mujhe  dekho  aur  us  ke  va.ade  pe  jiinā
ye  hai  zinda-e-jāvedānī  kī  sūrat
vahāñ  bad-gumānī  kī  tārīf  kyā  ho
yaqīñ  ho  jahāñ  bad-gumānī  kī  sūrat
nazar-soz  vo  ruḳh  vo  inkār  behad
magar  haiñ  vo  ik  lan-tarānī  kī  sūrat
dikhāte  haiñ  vo  raḳh  se  yuuñ  naaz  pinhāñ
ki  alfāz  jaise  ma.ānī  kī  sūrat
yahāñ  kyā  samā.ī  dam-e-teġh  qātil
ki  nazroñ  meñ  hai  saḳht  jaanī  kī  sūrat
jo  naqsh-e-fanā  hoñ  to  vo  dil  pe  'anvar'
khiñchī  aur  ik  bad-gumānī  kī  sūrat