āñkheñ  dikhā.īñ  ġhair  ko  merī  ḳhatā  ke  saath
matlab  adā  vo  karte  haiñ  aur  kis  adā  ke  saath
shoḳhī  nigah  ke  saath  taġhāful  jafā  ke  saath
ushshāq  par  hujūm-e-balā  hai  balā  ke  saath
āḳhir  huā  na  zabt  shab-e-vasl  mudda.ī
naala  nikal  gayā  mirī  lab  se  duā  ke  saath
tere  sitam  se  mujh  ko  milā  mansab-e-kalīm
ik  vaj.h-e-guftagū  nikal  aa.ī  ḳhudā  ke  saath
terā  hijāb  uThte  hī  aaya  vo  nā-gahāñ
dushman  ke  paaoñ  khul  ga.e  band-e-qabā  ke  saath
meñ  kyā  ki  dushmanoñ  kī  bhī  qismat  ulaT  ga.ī
tirchhī  adā.eñ  aur  terī  bāñkī  adā  ke  saath
rāh-e-talab  meñ  shauq  kī  manzūr  hai  numūd
miTte  qadam  qadam  pe  chale  rahnumā  ke  saath
yārab  ġhalat  ho  fahm-e-kaj-andesh  kā  gumāñ
kuchh  kah  rahā  hai  in  se  adū  iltijā  ke  saath
dete  nahīñ  kisī  ko  pata  apne  haal  kā
begāna  ban  ke  chalte  haiñ  har  āshnā  ke  saath
mai  be-talab  milī  to  huī  yaar  kī  talab
bandoñ  ke  naaz  bhī  haiñ  nirāle  ḳhudā  ke  saath
josh-e-qalaq  meñ  dekhiye  kyā  māñgtā  huuñ  maiñ
yāroñ  ke  dam  nikalte  haiñ  merī  duā  ke  saath
ghar  se  mujhe  nikālte  rahiye  par  is  tarah
gah  mudda.ī  ke  saath  gahe  mudda.ā  ke  saath
kyuuñ  shauq  meñ  girā.iye  saath  apne  shān-e-ishq
aġhmāz  bhī  zarūr  hai  kuchh  iltijā  ke  saath
kahtā  huuñ  ye  nasīb  na  dushman  ko  ho  firāq
aa  maiñ  vo  kahte  jaate  haiñ  merī  duā  ke  saath
lailā  kā  naam  zinda  hai  ab  tak  jahāñ  meñ
tum  bhī  nibāh  do  kisī  ahl-e-vafā  ke  saath
phirte  hī  us  kī  aañkh  ke  vābasta-tar  havā
maiñ  dil  ke  saath  dil  nigah-e-fitna-zā  ke  saath
ab  to  baḌā  ḳhayāl  terī  ranjishoñ  kā  hai
mahshar  meñ  dekh  leñge  ḳhudā  kī  ḳhudā  ke  saath
kahtā  hai  Dar  ke  haath  vafā  se  uThā  liyā
dushman  kī  baat  ban  ga.ī  merī  duā  ke  saath
aatā  hai  bū-e-dost  meñ  kāfir  basā  huā
qāsid  bhī  ik  raqīb  hai  apnā  sabā  ke  saath
kyā  DhūñDhte  ho  dahr  meñ  'anvar'  jamāl-e-dost
chande  phiro  chalo  kisī  mard-e-ḳhudā  ke  saath