jamāl-e-nastaranī  rañg-o-bū-e-yāsmanī
guloñ  ne  siikh  liyā  tum  se  zauq-e-pairahanī
zamāna-sāz  na  ho  gar  butoñ  kī  sīm-tanī
to  azm-e-but-shikanī  bhī  hai  ain  barhamanī
savād-e-koh-o-bayābāñ  meñ  shām-e-be-vatnī
hameñ  lubhā  ke  kahāñ  laa.e  āhū-e-ḳhutanī
hazār  rañg  meñ  pinhāñ  hai  ārzū-e-hayāt
duā-e-nīm-shabī  tā  junūn-e-koh-kanī
ba-nām-e-daulat-e-husn-o-jamāl  be-pāyāñ
samajh  ke  kījiye  ahl-e-talab  kī  dil-shikanī
majāl-e-āh  na  thī  dil  ko  bazm-e-jānāñ  meñ
ye  ehtiyāt  bhī  thī  muqtazā-e-gul-badanī
vo  rañj-e-rāh-e-tamannā  meñ  yād-e-yār-e-azīz
vo  duur  bajte  hue  se  rabāb-e-anjumanī