āḳhir  vo  iztirāb  ke  din  bhī  guzar  ga.e
jab  dil-e-harīf-e-ātish-e-qahr-o-itāb  thā
jaañ  dostoñ  kī  chāragarī  se  laboñ  pe  thī
sar  dushmanoñ  kī  sañg-zanī  se  azaab  thā
dāman-e-sāgān  kū-e-mohabbat  se  taar  taar
chehra  ḳharāsh-e-dast-e-junūñ  se  ḳharāb  thā
vaañ  e'timād-e-mashq-e-siyāsat  kī  had  na  thī
yaañ  e'tibār-e-nāla-e-dil  be-hisāb  thā
har  baat  sūfiyoñ  kī  tarah  pech-o-ḳham  liye
har  lafz  shā.iroñ  kī  tarah  intiḳhāb  thā
har  jalva  ek  daftar  āshob-e-rozgār
har  ġhamza  ilm-e-fitna-garī  kī  kitāb  thā
ḳhvābīda  har  nazar  meñ  banā.e  fasād-e-ḳhalq
poshīda  har  ravish  meñ  nayā  inqalāb  thā
aaj  is  ġhazal  meñ  ham  pe  qayāmat  guzar  ga.ī
kyā  garmī-e-ḳhayāl  thī  kyā  iltihāb  thā