maiñ  apne  jism  meñ  kuchh  is  tarah  se  bikhrā  huuñ
ki  ye  bhī  kah  nahīñ  saktā  maiñ  kaun  huuñ  kyā  huuñ
unheñ  ḳhushī  hai  isī  baat  se  ki  zinda  huuñ
maiñ  un  kī  daa.eñ  hathelī  kī  ek  rekhā  huuñ
maiñ  pī  gayā  huuñ  ka.ī  āñso.oñ  ke  sail-e-ravāñ
maiñ  apne  dil  ko  samundar  banā.e  baiThā  huuñ
vo  mere  dost  jo  ek  ek  karke  duur  hue
maiñ  un  ko  aaj  bhī  apne  qarīb  paatā  huuñ
muhīt  karne  kī  koshish  fuzūl  hai  mujh  ko
nadī  kā  chhor  nahīñ  huuñ  maiñ  bahtā  dariyā  huuñ
mujhī  pe  pheñke  hai  patthar  jo  koī  aatā  hai
ki  jaise  maiñ  tirī  khiḌkī  kā  koī  shīsha  huuñ