kaisī  kaisī  raah  meñ  dīvāreñ  karte  haiñ  haa.il  log
phir  bhī  manzil  pā  lete  haiñ  ham  jaise  zinda  dil  log
vo  dekho  sāgar  garjā  tūfān  uThā  nayyā  Duubī
aur  tamāsha  dekh  rahe  haiñ  baiThe  sāhil  sāhil  log
bazm  sajā  kar  bheñT  kiye  haiñ  hamdardī  ke  chand  alfāz
merā  dukhḌā  baañT  rahe  haiñ  mere  ġham  meñ  shāmil  log
bastī  bastī  ghuum  rahe  haiñ  bhiiḌ  bhare  chaurāhoñ  par
ujle  ujle  pahnāoñ  meñ  chehre  badle  qātil  log
TuuT  chaleñgī  sab  āshā.eñ  tab  hī  jīvan  raas  aa.egā
kuchh  din  aur  kaseñge  ham  par  ta.ane  mahfil  mahfil  log
kitnī  ummīdoñ  kī  sham.eñ  jalte  hī  bujh  jaatī  haiñ
ab  bhī  an-chāhe  chhātī  par  dhar  hī  dete  haiñ  sil  log
barf  ke  ā.īna-ḳhānoñ  meñ  sho.aloñ  kā  siñgār  kareñge
aivānoñ  meñ  aish  manā  kar  taḌpeñge  patthar  dil  log