Obaidullah Aleem

main kaise jiyun gar ye duniya har aan nai taswir na ho

Obaidullah Aleem

Bhopal, Madhya Pradesh, India

1939-1998

maiñ kaise jiyūñ gar ye duniyā har aan na.ī tasvīr na ho

ye aate jaate rañg na hoñ aur lafzoñ tanvīr na ho

ai rāh-e-ishq ke raahī sun chal aise safar lazzat meñ

tirī āñkhoñ meñ na.e ḳhvāb to hoñ par ḳhvāboñ ta.abīr na ho

ghar aa.uuñ bāhar jā.ūñ har ek fazā meñ mere liye

ik jhūTī sachchī chāhat ho rasmoñ koī zanjīr na ho

jaise ye mirī apnī sūrat mire sāmne ho aur kahtī ho

mire shā.er tere saath huuñ maiñ māyūs na ho dil-gīr na ho

koī ho to mohabbat aisī ho mujhe dhuup aur saa.e meñ jis ke

kisī jazbe āzār na ho kisī ḳhvāhish ta.azīr na ho

Top Urdushayar.com