Obaidullah Aleem

koi dhun ho main tere git hi gae jaun

Obaidullah Aleem

Bhopal, Madhya Pradesh, India

1939-1998

koī dhun ho maiñ tire giit gaa.e jā.ūñ

dard siine meñ uThe shor machā.e jā.ūñ

ḳhvāb ban kar barastā rahe shabnam shabnam

aur bas maiñ isī mausam meñ nahā.e jā.ūñ

tere rañg utarte chale jaa.eñ mujh meñ

ḳhud ko likkhūñ tirī tasvīr banā.e jā.ūñ

jis ko milnā nahīñ phir us se mohabbat kaisī

sochtā jā.ūñ magar dil meñ basā.e jā.ūñ

ab us huī jis pe mujhe pyaar aatā hai

zindagī aa tujhe siine se lagā.e jā.ūñ

yahī chehre mire hone gavāhī deñge

har na.e harf meñ jaañ apnī samā.e jā.ūñ

jaan to chiiz hai kyā rishta-e-jāñ se aage

koī āvāz diye jaa.e maiñ aa.e jā.ūñ

shāyad is raah pe kuchh aur bhī raahī aa.eñ

dhuup meñ chaltā rahūñ saa.e bichhā.e jā.ūñ

ahl-e-dil hoñge to samjheñge suḳhan ko mere

bazm meñ aa gayā huuñ to sunā.e jā.ūñ

Top Urdushayar.com