Obaidullah Aleem

ab tu ho kisi rang mein zahir to mujhe kya

Obaidullah Aleem

Bhopal, Madhya Pradesh, India

1939-1998

ab ho kisī rañg meñ zāhir to mujhe kyā

Thahre tire ghar koī musāfir to mujhe kyā

vīrāna-e-jāñ jo fazā thī so rahegī

chahke kisī gulshan meñ vo taa.ir to mujhe kyā

vo sham.a mire ghar meñ to be-nūr Thahrī

bāzār meñ vo jins ho nādir to mujhe kyā

vo rañg-fishāñ aañkh vo tasvīr-numā haath

dikhlā.eñ na.e roz manāzir to mujhe kyā

maiñ ne use chāhā thā to chāhā na gayā maiñ

chāhe mujhe ab vo mirī ḳhātir to mujhe kyā

duniyā ne to jaanā ki numū us meñ hai merī

ab ho vo mirī zaat munkir to mujhe kyā

ik ḳhvāb thā aur bujh gayā āñkhoñ meñ apnī

ab koī pukāre mire shā.ir to mujhe kyā

Top Urdushayar.com