fanā  kahte  haiñ  kis  ko  maut  se  pahle  hī  mar  jaanā
baqā  hai  naam  kis  kā  apnī  hastī  se  guzar  jaanā
jo  rokā  raah  meñ  hur  ne  to  shah  abbās  se  bole
mire  bhaa.ī  na  ġhusse  meñ  kahīñ  had  se  guzar  jaanā
kahā  ahl-e-haram  ne  roke  yuuñ  akbar  ke  lāshe  par
javāñ  hone  kā  shāyad  tum  ne  rakkhā  naam  mar  jaanā
baqā  meñ  thā  fanā  kā  martaba  hāsil  shahīdoñ  ko
vahāñ  is  par  amal  thā  maut  se  pahle  hī  mar  jaanā
na  lete  kaam  gar  sibt-e-nabī  sabr-o-tahammul  se
la.īnoñ  kā  nigāh-e-ḳhashm  se  āsāñ  thā  mar  jaanā
dikhā.ī  jañg  meñ  sūrat  udhar  jā  pahuñche  vo  kausar
ye  asġhar  hī  kī  thī  raftār  idhar  aanā  udhar  jaanā
yahāñ  kā  zinda  rahnā  maut  se  bad-tar  samajhtā  huuñ
hayāt-e-jāvidāñ  hai  karbalā  meñ  jā  ke  mar  jaanā