bāda-e-ḳhum-e-ḳhāna-e-tauhīd  kā  mai-nosh  huuñ
chuur  huuñ  mastī  meñ  aisā  be-ḳhud-o-mad.hosh  huuñ
gird  phirne  de  mujhe  saaqī  ye  merā  farz  hai
misl-e-sāġhar  daur  meñ  huuñ  bāda-e-sar-josh  huuñ
tarz-e-ḳhāmoshī  mirī  batlātī  hai  is  raaz  ko
huuñ  navāsanj-e-haqīqat  laakh  maiñ  ḳhāmosh  huuñ
dardmand-e-ishq  ho  kar  zabt  kā  ḳhūgar  huuñ  maiñ
sūrat-e-sīmāb  ho  kar  paikar-e-ḳhāmosh  huuñ
kis  kī  furqat  vasl  kis  kā  aur  hai  ma.ashūq  kaun
'shād'  maiñ  is  ālam-e-takvīñ  kā  ham-āġhosh  huuñ