ab  dimāġh-o-dil  meñ  vo  quvvat  nahīñ  vo  dil  nahīñ
'shād'  ab  ash.ār  mere  dar-ḳhur-e-mahfil  nahīñ
tū  mire  ashk-e-nadāmat  kī  haqīqat  kuchh  na  pūchh
us  kā  har  qatra  vo  dariyā  hai  jahāñ  sāhil  nahīñ
ghar  ḳhudā  kā  thā  magar  but  is  meñ  aa  kar  bas  ga.e
ab  muraqqa.a  hai  hasīnoñ  kā  hamārā  dil  nahīñ
nukta-chīñ  ho  merī  rindāna  ravish  par  kyuuñ  koī
maiñ  koī  zāhid  nahīñ  vaa.iz  nahīñ  aaqil  nahīñ
parda-dārī  kartī  hai  dar-parda  lailā  ishq  kī
jazba-e-dil  qais  kā  hai  parda-e-mahmil  nahīñ
inqalāb-e-dahr  se  ulTā  zamāne  kā  varaq
ahl-e-mahfil  vo  nahīñ  vo  raunaq-e-mahfil  nahīñ
hind  meñ  chalne  lagī  hai  ab  havā-e-inqalāb
'shād'  sach  hai  ye  jagah  rahne  ke  ab  qābil  nahīñ
sāġhar-e-mai  pesh  kar  ke  shaiḳh  kahlātā  huuñ  maiñ
hadiya-e-ahqar  hai  ye  go  aap  ke  qābil  nahīñ
haq  meñ  ab  āshiq  ke  dekheñ  faisla  hotā  hai  kyā
ishq  kā  da.avā  huzūr-e-husn  to  bātil  nahīñ