Rasheed lakhnavi

dila mashuq jo hota hai wo saffak hota hai

Rasheed lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1846-1917
dilā ma.ashūq jo hotā hai vo saffāk hotā hai
baḌā be-rahm hotā hai baḌā bebāk hotā hai
ḳhushī hogī halāk apnā dil-e-sad-chāk hotā hai
kahāñ ab aarzū ghar hasratoñ kā ḳhaak hotā hai
tumhārī teġh mujh se chupke chupke kahtī jaatī hai
mubārak ho ki ye sar zīnat-e-fitrāk hotā hai
tujhe allāh ne baḳhshā hai kaisā rutba-e-ālī
ki terā naqsh-e-pā tāj-e-sar-e-aflāk hotā hai
qarīb aayā hai vaqt ai jān-e-jāñ ab dam nikalne kā
tire kūche se ham uThte haiñ jhagḌā paak hotā hai
jo piite haiñ sharāb un kī mohabbat meñ nahīñ aasī
ye tar-dāman vahī haiñ jin kā dāman paak hotā hai
ḳhayāl aatā hai badnāmī kā āshiq qatl hote haiñ
ki māshūqoñ ko nām-e-āshiqī se paak hotā hai
asar se merī vahshat ke koī jaama nahīñ sābit
maiñ suntā huuñ garebāñ har kafan kā chaak hotā hai
maiñ kah detā huuñ ho aa kar zulf ke kūche meñ dam-bhar ko
kisī din jab bahut muztar dil-e-ġhamnāk hotā hai
pahuñch jaa.e haqīqat tak tirī ye ġhair-mumkin hai
bahut go tujh se vāqif sāhab-e-idrāk hotā hai
'rashīd'-e-zār kyuuñ ḳhush ḳhush na jaa.e qabr kī jānib
mayassar aaj dīdār-e-shah-e-laulāk hotā hai
Top Urdushayar.com