Rasheed lakhnavi

dam-e-raftar-e-jaanan ye sada-e-naz aati hai

Rasheed lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1846-1917

dam-e-raftār-e-jānāñ ye sadā-e-nāz aatī hai

sambhāleñ sab diloñ ko paañv āvāz aatī hai

sabā jo pur mirā ai bāġhbāñ laatī hai gulshan meñ

qafas se saath yaañ tak hasrat parvāz aatī hai

abhī jaao na yārāñ qafas-e-gulzār jānib

zarā ham muntazir haiñ tāqat-e-parvāz aatī hai

asar ye hai ki bulbul jab qafas meñ kartī hai naala

shikast-e-rañg-e-gul baaġh se āvāz aatī hai

nazar duzdīda terī kab nazar aatī hai āshiq ko

uḌā jaatā hai dil aur tiir āvāz aatī hai

shikva-e-husn ye hai jab kabhī tum nikalte ho

to but-ḳhāne se yā-allāh āvāz aatī hai

sadā maiñ ne jab aane lagī sub.h shab-e-vaslat

samajh kar aa kidhar o tafarqe parvāz aatī hai

tire baa.is se jis ne kal hameñ thī bahut iizā

vahī shab aaj phir ai tāla-e-nā-sāz aatī hai

huī muddat tire zulfoñ ke dīvāne sehat ko

bigaḌ jaatā hai shab zanjīr āvāz aatī hai

zarā kah de koī un se qarīb aayā dam-e-āḳhir

ki ulTī saañs ab to ai mire dam-sāz aatī hai

javānī ke nishāñ andām se hone lage zāhir

mubārak ho bahār ai sard baaġh naaz aatī hai

jhukā.e sar na kyuuñ ḳhāmosh baiThūñ hijr-e-jānāñ meñ

ki dil ke TūTne kaan meñ āvāz aatī hai

bhalā aaj zinda āh-e-dil āshiq kare paidā

ki ḳhud vo kah rahe haiñ dard āvāz aatī hai

'rashīd' ash.ār mohmal paḌh rahe ho jam.a haiñ shā.ir

ḳhajil hote nahīñ tum dil ye āvāz aatī hai

Top Urdushayar.com