Rasheed lakhnavi

dil hamara jaanib-e-zulf-e-siyah-fam aaega

Rasheed lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1846-1917
dil hamārā jānib-e-zulf-e-siyah-fām aa.egā
ye musāfir aaj manzil par sar-e-shām aa.egā
go burā hai dil magar rahne diyā hai is liye
ishq kī ḳhūgar tabī.at hai kabhī kaam aa.egā
ishq-e-dil kāmil nahīñ dekho abhī kholo na zulf
said jab shahbāz hai kyūñkar na tah-e-dām aa.egā
qāsid-e-marg aa.e yā aa.e tumhārā nāma-bar
kah rahā hai dil ki koī aaj paiġhām aa.egā
jaam ġhota kar ke kausar se mañgā.ī hai sharāb
mujh ko farmāte haiñ vo pāband-e-islām aa.egā
nek nāmoñ kā ho majma.a bazm ho ārāsta
aap ḳhush hoñ yā ḳhafā hoñ ek badnām aa.egā
tum nahā lo jald varna rashk se mar jā.ūñgā
dam meñ ab saaya sar-e-dīvār-e-hammām aa.egā
donoñ āñkheñ dil-jigar haiñ ishq hone meñ sharīk
ye to sab achchhe raheñge mujh par ilzām aa.egā
tark kar do shā.irī ko aql rakhte ho 'rashīd'
ho chuke ho piir ab kyā tum ko ye kaam aa.egā
Top Urdushayar.com