Rasheed lakhnavi

na chhoDa dil-e-KHasta-jaan chalte chalte

Rasheed lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1846-1917
na chhoḌā dil-e-ḳhasta-jāñ chalte chalte
ġhazab kar chale mehrbāñ chalte chalte
kaheñge kuchh ai bāġhbāñ chalte chalte
agar degī yaarā zabāñ chalte chalte
gire ham pas-e-kārvāñ chalte chalte
thake paañv apne kahāñ chalte chalte
tirī chaal bād-e-ḳhizāñ ne uḌaa.ī
ujāḌā mirā āshiyāñ chalte chalte
karo āñkheñ jhapkā ke tirchhī nigāheñ
sināneñ chalīñ barchhiyāñ chalte chalte
bhareñ sard aaheñ jo garm aah bhar ke
nasīm aa.ī bād-e-ḳhizāñ chalte chalte
na ghabrā zarā dāman-e-roz-e-mahshar
karūñgā tirī dhajjiyāñ chalte chalte
adam ko chale qaid zulf-e-sanam meñ
raheñ paañv meñ beḌiyāñ chalte chalte
dam-e-naz.a sar par gire koh-e-ulfat
uThā.īñ baḌī saḳhtiyāñ chalte chalte
mirī laash ko paañv se ḳhuub rauñdā
thame sūrat-e-āsmāñ chalte chalte
bas ab to adam meñ mulāqāt hogī
ye kahte ga.e raftagāñ chalte chalte
na qātil ne teġh-e-nigah tak lagā.ī
na kartā gayā imtihāñ chalte chalte
jahāñ se ga.e hashr tak ḳhuub so.e
liyā saath ḳhvāb-e-girāñ chalte chalte
rahe umr-bhar terī vahdat ke qaa.il
na liiñ ham ne do hichkiyāñ chalte chalte
'rashīd'-e-hazīñ laakh rokā kiye ham
vo lete ga.e naqd-e-jāñ chalte chalte
Top Urdushayar.com